Easypaisa Account Banane Ka Aasan Tarika
Aaj kal digital banking aur mobile wallets ka zamana hai.
Pakistan mein is waqt Easypaisa aur Jazz Cash, in sab mein, sab se aagay hain.
Aaj ham baat karen gay Easypaisa ke mutaliq. Easypaisa aap ko
aasani se paise bhejne, receive karne, bills pay karne aur bohat kuch karne ki
sahoolat deta hai. Agar aap apna Easypaisa account banana chahte hain lekin tarika
nahin jaante to yeh page aap ke liye hi hai.
Easypaisa Account Banane ke Liye Kya Kya Chahiye?
Easypaisa account banana bohat hi aasan hai. Is account ke
liye aap ko sirf chand hi cheezon ki zaroorat hoti hai.
Valid CNIC (Qaumi Shanakhti Card)
Aap ka CNIC asal aur valid hona chahiye.
Mobile Phone Number
Ek active mobile number jis par aap Easypaisa account banana
chahte hain.
Easypaisa Account Banane Ka Mukammal Tarika
Easypaisa account ko do tareeqon se banaya ja sakta hai:
- Code Ke Zariye
- Easypaisa App Ke Zariye
Hum dono tareeqon ko tafseel ke sath batane ja rahe hain.
Code Ke Zariye Easypaisa Account Banane Ka Tarika
Yeh tarika un logon ke liye behtar hai jin ke paas smartphone
nahin hai ya phir internet ki sahoolat nahin hai.
Apne mobile phone se Easypaisa helpline ka code *786# dial
karein. Aap ko ek menu nazar aaye ga. Account banane ke liye “1” daba kar reply
karein.
System aap se aap ka 13-digit ka CNIC number enter karne ko
kahe ga. Apna CNIC number durust tarike se enter karein. Is mein koi ghalti
nahin honi chahie.
Aap ko yahan apne CNIC ki tareekh-e-ijra (date of issuance)
ya phir apni tareekh paidaish (year of birth) ki tasdeeq karni hoti hai.
Ab aap ko apna 5-digit MPIN (Mobile Personal Identification
Number) banana ho ga. Yeh aap ka ek secret code ho ga jis ko aap har Easypaisa
transaction ke liye istemal karen ge. Saada alfaz mein yeh aap ke Easypais
account ka password hota hai.
Dobara wahi MPIN enter kar ke tasdeeq karein. Mubarak ho! Aap
ka Easypaisa account ban chukka hai.
Note: Aap ko Easypaisa ki taraf se ek SMS mile ga jo account
activation ki tasdeeq kare ga.
Note: Agar aap ke paas Telenor ki sim hai to phir *786# dail
karen aur agar aap ke paas Jazz, Zong ya Ufone ki sim hai to phir *2262# dail
karen.
Easypaisa Ka Account App Ke Zariye Banane Ka Tarika
Agar aap ke paas smartphone hai, to Easypaisa App ke zariye
account banana aur bhi aasan hai. Easypaisa ki app bohat aasan aur user-friendly
hai.
Sab se pehle, agar aap ke paas Android mobile hai to “Google
Play Store” aur agar aap ke paas iPhone hai to phir “Apple App Store” se
Easypaisa ki app download karein aur install karein.
Easypaisa ki app ke download aur install hone ke baad, app ko
open karein.
Pehli baar use karne par aap ko "Create Account" ya
"Register" ka option nazar aaye ga, us par click karein.
Apna wo mobile number enter karein jis par aap Easypaisa
account banana chahte hain.
Aap ke mobile number par ek OTP code aaye ga. OTP ka matlab
hota hai “One-Time Password”. Is OTP code ko app mein enter kar ke verify
karein. Yeh aap ke number ki tasdeeq kare ga.
Ab Easypais app aap ko CNIC scan karne ka option de gi. Apne
CNIC ko scan karein ya phir manually apna 13-digit CNIC number enter karein.
Apne CNIC ki tareekh-e-ijra (date of issuance) ya phir apni
tareekh-e-paidaish (year of birth) enter karein.
Easypaisa app ki taraf se aap ko apni selfie lene ko kaha
jaye ga. Ek saaf aur clear selfie lein.
Ab aap ko apna 5-digit MPIN banana ho ga. Yehi MPIN aap ka
password ho ga. Is ki madad se hi aap Easypaisa account mein “Log in” kar saken
ge.
Dobara wahi MPIN enter kar ke tasdeeq karein. Aap ka Easypaisa
ka account app par bhi successfully ban chukka hai.
Aap ko Easypaisa ki taraf se ek confirmation SMS bhi mile ga.
Note:
Apna MPIN kisi ke sath share na karein. Easypaisa ka koi
numainda bhi aap se aap ke MPIN ke mutaliq nahin poochta.
Shuru mein aap ke Easypaisa account ki “Transactions Limit” kam ho gi. Apni limit barhane ke liye aap ko apne account ki “Biometric Verification” karwani ho gi.
0 Comments
Post a Comment