Instagram Ki ID Banane Ka Tarika

Instagram Ki ID Banane Ka Tarika

Aaj kal taqreeban har koi hi social media par mojood hai. Instagram un platforms mein se ek hai jahan log apni tasweeren, videos aur stories waghera share karte hain.

Agar aap bhi Instagram ki is duniya ka hissa banna chahte hain to sab se pehle aap ko Instagram par apni ID (account) banani ho gi.

Instagram par ID banana bohat hi aasan hai. Aaj aap Instagram par ID banane ka mukammal aur aasan tarika seekhne ja rahe hain.

Instagram Ki ID Banane Ke Liye Zaroori Steps!

1. Instagram Ki App Ko Download Karna

Sab se pehle aap ke paas Instagram ki app honi chahiye. Agar nahin hai to apne phone ke app store mein ja kar is app ko foran download aur install kar len. Yeh aap ka pehla step hai.

Note:

Jin logon ke paas Android mobile hai wo “Google Play Store” par ja kar "Instagram" search karen aur app ko download aur install karen.

Jin logon ke paas iPhone hai wo “Apple App Store” par ja kar "Instagram" search karen aur app ko download aur install karen.

2. "Create New Account" Par Tap Karen

App ko install karne ke baad is ko open karen. Jab aap Instagram app ko pehli baar open karen ge, to aap ko 2 options nazar aayen ge:

"Log In"

Agar aap ka pehle se account hai to “Log in” karen.

"Create New Account" ya "Sign Up"

Kyun ke aap naya account bana rahe hain is liye "Create New Account" par tap karen.

3. Account Banane Ka Tarika

Instagram aap ko account banane ke 2 tareeqe de ga:

Phone Number Ya Email Se Register Karna

Is tareeqe mein aap apna mobile number ya email address istemal kar ke account bana sakte hain. Yeh sab se aam tarika hai.

Facebook Se “Log in” Karna

Agar aap ka Facebook account hai to aap usay istemal kar ke bhi foran Instagram par account bana sakte hain. Agar aap is option ko choose karte hain to Instagram aap se Facebook par “Log in” karne ki permission mange ga.

Note: Mobile number ya email wala option behtar hai. Is se aap ka account zyada secure hota hai.

Apna phone number ya email address darj karen aur phir "Next" ya "Continue" par tap karen.

4. Confirmation Code Darj Karen

Agar aap ne mobile number ya email address wale option ko choose kiya hai to Instagram ki taraf se aap ke diye hue number ya email par ek confirmation code bheja jaye ga. Is code ko Instagram app mein di gayi khaali jagah mein darj karen.

Is ke baad "Next" ya "Confirm" par tap karen.

5. Apna Naam Aur Password Set Karen

Code verify hone ke baad, ab aap ko apne mutaliq kuch buniyadi maloomat deni ho gi.

Full Name

Apna poora naam darj karen.

Password

Ek mazboot password banayen.

Note: Password kam-az-kam 6 letters aur numbers ka combination hona chahiye.

Yeh maloomat darj karne ke baad "Next" par tap karen.

6. Date of Birth Aur Username

Agli screen par aap ko apni tareekh-e-paidaish select karni ho gi.

Note: Social media ke is platform par account banane ke liye bhi aap ki umar kam-az-kam 13 saal honi chahiye.

Tareekh-e-paidaish choose karne ke baad aap ko apna username banana ho ga.

Username

Yeh woh naam hai jis se log aap ko Instagram par pehchanen ge. Instagram username ki misaal: @apkanaam.

Note: Agar aap ki pasand ka username pehle se hi kisi aur ne liya hua ho to Instagram aap ko kuch milte julte options deta hai. Aap khud koi naya username bhi bana sakte hain.

Username select karne ke baad "Next" par tap karen.

7. Registration Mukammal Karen

Ab aap ki ID banane ka amal taqreeban mukammal ho chuka hai. Agli screens par aap ko kuch mazeed options mil sakte hain:

Find Facebook Friends

Aap apne Facebook ke doston ko Instagram par talash kar sakte hain.

Find Contacts

Aap apne phone ke contacts mein se un logon ko talash kar sakte hain jo Instagram par mojood hon.

Profile Picture Lagana

Aap apni picture bhi upload kar keh laga sakte hain. Aap is ko baad mein bhi kar sakte hain.

Welcome to Instagram

Aakhir mein aap ko ek welcome message nazar aaye ga.

"Complete Sign Up" ya "I Agree" ya "Done" par tap karen aur ID banane ka kaam mukammal karen.

Ab aap ka Instagram ka account ban chuka hai!

HBL Mobile App Ki ID Kaise Banate Hain?