Google Play Store ID Kaise Banate Hain

Google Play Store ID Kaise Banate Hain?

Aaj kal har smart phone istemal karne wale ko Google Play Store ki zaroorat hoti hai. Agar apps download karni hon ya games, Play Store ke bina kaam nahin chal sakta. Lekin aksar naye users ko Play Store ID ka pata nahin hota ya ID banane mein mushkil pesh aati hai. Yeh bohat hi aasan hai!

Play Store ID Kya Hoti Hai?

Play Store ID asal mein aap ki Google ID ya Gmail ID hi hoti hai. Jab aap ek Google account banate hain to wohi account aap Play Store, YouTube, Google Maps aur doosri Google services ke liye bhi istemal kar sakte hain. Is ka matlab hai ke agar aap ke paas pehle se Gmail account hai to aap ki Play Store ID bani hui hai!

Nayi Play Store ID Banane Ke Steps

Agar aap ke paas Google account nahin hai to koi problem nahin. Naya account banane ke liye in steps ko follow karen aur apni Google ID banana seekhen.

1. Settings Mein Jayen

Sab se pehle apne mobile ki "Settings" app ko open karen.

2. Accounts Ya Users & Accounts Par Tap Karen

Settings mein neeche ki taraf scroll karen aur "Accounts" ya "Users & Accounts" ya “Manage Accounts” ke option ko talash karen. Yeh option mobile ke hisaab se thora alag ho sakta hai.

3. Add Account Par Tap Karen

Accounts ke section mein aap ko "Add account" ka option nazar aaye ga. Aap is par tap karen.

4. Google Ko Select Karen

Jab aap “Add account” par tap karen ge to aap ko mukhtalif options nazar aayen ge jese ke:

  • WhatsApp
  • Facebook
  • Firefox account
  • Google

 In mein se "Google" ko select karen.

5. Create Account Par Tap Karen

Ab aap ke saamne Google “Sign-in” screen open ho gi. Agar aap ke paas pehle se account hai to sign-in karen, warna naya account banane ke liye "Create account" par tap karen.

Yahan aap ko 2 options milen ge:

  • For my personal use
  • For work or my business

Apni zaroorat ke mutabiq ek option ko choose kar len. Zyada tar log personal use ke liye hi account banate hain.

6. Apni Maloomat Darj Karen

Ab aap ko yahan apne bare mein kuch zaroori aur buniyadi maloomat darj karni ho gi.

  • First name aur Last name likhen.
  • Apni “Date of Birth” aur “Gender” (jins) select karen.

7. Gmail Address Banayen Ya Select Karen

Google is marhalay par aap ko kuch suggested Gmail addresses bhi dikhaye ga. Aap in mein se kisi ek ko bhi choose kar sakte hain aur "Create your own Gmail address" par tap kar ke apni pasand ka address bhi bana sakte hain.

Yeh yaad rahe keh yehi Gmail address aap ki Play Store ID bane ga.

8. Ek Strong Password Banayen

Ek mazboot password banayen jis mein letters, numbers aur symbols shaamil hon.

9. Phone Number Add Karen (Optional)

Google aap ko apna mobile number likhne ka kahe ga. Yeh step optional hai lekin security ke lihaz se bohot zaroori hai.

Phone number add karne se agar aap apna password bhool jate hain to use recover karna aasan ho jata hai.

10. Review Account Info

Apni di hoi sari maloomat ko review karen aur phir "Next" par tap karen.

11. Privacy and Terms Agree Karen

Google ki "Privacy and Terms" ko achi tarah se parh len aur parhne ke baad "I agree" par tap karen.

Is tarah aap ki Google ID ban chuki hai. Ab aap Google Play Store open kar sakte hain aur apni pasand ki apps, games, movies aur books download kar sakte hain.

Play Store Mein Sign-in Kaise Karte Hain?

Agar aap ne naya account banaya hai to Play Store khud-ba-khud us account se sign-in ho jaye ga.

Agar “Sign in” nahin ho raha ya aap kisi aur account se “Sign in” karna chahte hain to Play Store app ko open karen aur phir oper right corner mein apni profile picture par tap karen aur phir "Add another account" ya existing account mein se kisi ko select kar len.

Gmail ID Kaise Banate Hain? | Mukammal Tarika