HBL Mobile App Ki ID Banane Ka Tarika
Aaj ke is digital daur mein banks apni services ko aam logon
tak aasani ke sath pohanchane ke liye mobile apps ka istemal kar rahe hain.
HBL (Habib Bank Limited) bhi un banks mein se ek hai jo apne
customers ko HBL Mobile App ke zariye banking ki sahulat faraham karta hai.
HBL ki is app ki madad se aap apne bills pay kar sakte hain,
funds ko transfer kar sakte hain, apne account ki details dekh sakte hain aur bohat
kuch kar sakte hain. Lekin is se pehle aap ko is app par apni ID banana ho gi.
HBL Ki Mobile App Par ID Banane Ka Mukammal Tarika!
1. HBL Mobile App Ko Download Karen
Sab se pehle aap ke paas HBL Mobile App mojood honi chahiye. Is
ke liye HBL ki app ko download karen aur install karen. Is ka tarika yeh hai:
Android Phone
Agar aap ke paas Android mobile hai to “Google Play Store”
par ja kar "HBL Mobile" search karen. Aap ko yahan HBL ki app nazar
aye gi. Is app ko download aur install karen.
iPhone
Agar aap ke paas iPhone hai to “Apple App Store” par ja kar
"HBL Mobile" search karen aur app ko download aur install karen.
App install hone ke baad, is app ko open karen.
2. "Register" Ya "Sign Up"
Pehli baar HBL ki app ko open karne par aap ko “Log in”
screen nazar aaye gi. Agar aap pehle se registered nahin hain to aap
"Register" ya "Sign Up" ka option talash kar ke is par tap
karen.
3. Registration Ki Maloomat Darj Karen
Ab HBL ki app aap se kuch zaroori maloomat talab kare gi.
HBL Account Number
Apna mukammal HBL Account Number darj karen.
Registered Mobile Number
Yahan aap ne woh mobile number likhna hai jo aap ke HBL
account ke sath registerd hai. Yeh bohat zaroori hota hai kyun keh is number par
hi verification code aaye ga.
CNIC Number
Yahan par aap ne apna qaumi shanakhti card (CNIC) number darj
karna hai. Is mein bhi koi ghalti nahin honi chahiye.
Is maloomat ko darj karne ke baad, "Next" ya "Continue" par tap karen.
4. OTP Code Ki Tasdeeq Karen
OTP ka matlab hota hai One-Time Password. App aap ke
registered mobile number par ek OTP code bheje gi. Apne mobile ke SMS inbox ko
check karen.
Jo OTP aap ko receive hua hai us ko HBL Mobile App mein di
gayi khaali jaga (field) mein darj karen.
OTP code ko likhne ke baad "Verify" ya
"Submit" ke button par tap karen.
Note: Agar aap ko OTP receive na ho to aap "Resend
OTP" ka option istemal kar sakte hain.
5. Login ID Aur Password Banayen
OTP verification ke baad aap ko apni Login ID aur Password
set karna ho ga.
Login ID
Ek unique login ID banayen jo aap ko yaad rakhna aasan ho.
Yeh ID hi aap ka username ho gi.
Password
Ek acha aur mazboot password banayen. Password mein kam-az-kam
8 se 16 characters hone chahiye. In mein chote letters (a-z), bare letters
(A-Z), numbers (0-9) aur special characters (@, #, $, %, etc.) bhi shaamil hone
chahiye.
Transaction Password (Agar Maanga Jaye)
Kuch apps login password ke ilawa transactions ke liye ek
alag password (ya PIN) bhi set karwati hain. Agar aisa option aaye to usay bhi
set karen. Is se aap ke transactions mazeed secure ho jate hain.
6. ID Banane Ka Amal Mukammal Karen
Jab aap ki Login ID aur password set ho jaye to
"Confirm" ya "Complete Registration" ke button par tap
karen. Aap ko screen par "Registration Successful" ya isi tarah ka
koi doosra message nazar aaye ga.
Ab aap HBL Mobile App par apni ID bana chuke hain.
7. HBL Mobile App Mein Login Karen
ID banane ke baad aap dobara app ki login screen par wapas ja
sakte hain. Ab apni banayi hui Login ID darj karen. Apna set kiya hua Password likhen.
Aur "Log in" ke button par tap karen.
Is tarah aap HBL ki app mein “Log in” ho jayen ge aur apni banking services ka istemal shuru kar saken ge.
Note:
- Aap ka HBL bank account active hona chahiye.
- Aap ka mobile number HBL ke records mein aap ke account ke sath register hona chahiye.
0 Comments
Post a Comment