Gmail ID Banane Ka Mukammal Tarika Urdu Mein!
In steps ko follow kar ke aap aasani ke sath bilkul thore se
waqt mein apni Gmail ID bana sakte hain.
1. Google “Sign Up” Page Par Jayen
Sab se pehle, apne web browser mein Google ke “Sign Up” page
par jayen. Aap is link par click kar sakte hain: accounts.google.com/signup
2. Apni Zaroori Maloomat Darj Karen
Signup page par jane ke baad, aap ko kuch maloomat darj karni
ho gi.
First Name
Apna pehla naam likhen. Misaal ke tor par, agar aap ka naam “Akram
Khan” hai to sirf Akram likhen.
Last Name
Apna aakhri naam likhen. Agar aap ka naam “Akram Khan” hai to
yahan Khan likhen.
Username Choose Karen
Yeh aap ki Gmail ID ho gi. Yeh is tara ki ho gi “akramkhan@gmail.com”.
Koshish karen keh aisa username ho jo yaad rakhne mein aasan ho.
Agar aap ki pasand ka username mojood nahin ho ga to Google
aap ko kuch suggestions bhi de ga. Aap number ya nishanaat ka istemal kar ke
bhi ek munfarid (unique) username bana sakte hain.
3. Aap Ke Gmail Account Ka Password
Ab aap ko apne account ke liye ek mazboot password banana ho ga.
Ek Mazboot Password Kesa Hota Hai?
Ek mazboot password wo hota hai jis mein:
- Kam az kam 8 characters hon.
- Chote aur bare (uppercase and lowercase) letters hon.
- Number aur khaas nishanaat (special characters, jese @, #, $, %) shaamil hon.
Apna password 2 baar darj karen takay tasdeeq ho sake.
4. Kuch Izafi Maloomat Faraham Karen (Optional)
Agli screen par, Google aap se mazeed kuch maloomat pooch
sakta hai:
Phone Number
Phone number account ki verification aur security ke liye bohot
zaroori hota hai. Google aap ko is number par ek verification code SMS kare ga.
Recovery Email Address
Is jagah par aap ko ek email address likhna ho ga. Yeh is
liye hota hai keh agar kabhi aap apna password bhool jate hain to is email
address ke zariye aap apna Gmail account recover kar sakte hain. Yeh optional
hai lekin isay shaamil karna behtar hai.
Tareekh-e-Paidaish (Date of Birth)
Apni tareekh-e-paidaish darj karen.
Jins (Gender)
Apni jins ko select karen. Agar aap mard hain to “Man” ko
select karen aur agar aap aurat hain to “Woman” ko select karen.
Ye maloomat aap ke account ki security ko barhane aur Google ki
services ko aap ke liye behtar banane mein madad karti hai.
5. Phone Number Verify Karen
Agar aap ne phone number darj kiya hai to Google aap ko us
number par ek verification code bheje ga. Woh code screen par diye gaye box
mein darj karen aur Verify par click karen.
6. Privacy Aur Terms Ko Accept Karen
Akhir mein, aap ko Google ki Privacy Policy aur Terms of
Service ko accept karna ho ga. In ko ghaur se parh lein aur phir "I Agree"
par click karen.
Aap Ka Gmail Account Ban Chuka Hai!
In steps ko follow karne ke baad, aap ka naya Gmail account tayyar ho jaye ga! Ab aap emails bhejna aur masool karna shuru kar sakte hain.
0 Comments
Post a Comment