JazzCash Account Banane Ka Tarika

JazzCash Account Banane Ka Tarika

Pakistan mein JazzCash sab se maqbool mobile banking services mein se ek hai. JazzCash account ke zariye aap bill jama karwa sakte hain, paise bhej sakte hain, paise wasool kar sakte hain aur mobile load waghera bhi kar sakte hain.

Agar aap ne JazzCash ka account banana hai lekin aap ko tarika nahin maloom to yeh page aap ke liye ek mukammal guide hai. Neeche bataye gay bilkul aasan steps par amal kar ke aap aasani ke sath apna JazzCash ka account bana sakte hain.

JazzCash Account Banane Ke Tareeqe

JazzCash ka account banane ke 2 bunyadi tareeqe hain.

  • JazzCash App Ke Zariye
  • *786# Code Ke Zariye

JazzCash App Ke Zariye Account Banane Ka Tarika

JazzCash app ke zariye account banana sab se aasan aur recommended tarika hai.

1. App Ko Download Aur Install Karna

Sab se pehle, agar aap ke paas Android phone hai to “Google Play Store” se aur agar aap ke paas iPhone hai to phir “Apple App Store” se JazzCash ki App ko download aur install karen.

2. JazzCash Ki App Ko Open Karen

App ke download aur install hone ke baad, app ko open karen.

3. Apna Mobile Number Darj Karna

Ab aap se apna mobile number darj karne ko kaha jaye ga. Yeh woh number hona chahiye jis par aap JazzCash account banana chahte hain.

4. OTP Code Verify Karen

Aap ke diye hue mobile number par JazzCash ki taraf se ek OTP (One-Time Password) code bheja jaye ga. Yeh OTP app mein darj karen.

Zyada tar mobile is OTP code ko khud-ba-khud hi detect kar lete hain. Agar OTP khud-ba-khud detect nahin hota to aap ko manually darj karna ho ga.

5. CNIC Ki Details Faraham Karna

Ab aap ko apne CNIC (National Identity Card) ke mutaliq kuch maloomat faraham karni ho gi. Is mein aap ka CNIC number, CNIC issue hone ki tareekh aur kabhi kabhi walid ka naam ya walida ka naam bhi shaamil ho sakta hai.

Yeh maloomat bilkul durust honi chahiye taake verification mein koi masla na ho.

6. MPIN Set Karna

Ab aap ko 4 digits ka ek MPIN (Mobile Personal Identification Number) set karne ko kaha jaye ga. Yeh aap ka secret code ho ga. Aap is ko JazzCash app ka password bhi keh sakte hain. Is MPIN ko dobara darj kar ke confirm karen.

7. Account Activate Hona

MPIN set karne ke baad, aap ka JazzCash ka account activate ho jaye ga. Ab aap apni pehli transaction kar saken gay.

Code Ke Zariye JazzCash Ka Account Banane Ka Tarika

Agar aap ke paas smartphone nahin hai ya internet connection nahin hai to aap ek code ke zariye bhi JazzCash ka account bana sakte hain.

1. Mobile Se Code Dial Karna

Sab se pehle apne mobile phone se *786# dial karen.

2. Account Banane Ka Menu

Aap ko ek menu nazar aaye ga. Aap ko account banane ya register karne ka option select karna ho ga.

3. CNIC Details Darj Karen

Is ke baad aap se apna CNIC number darj karne ko kaha jaye ga.

4. CNIC Issue Hone Ki Tareekh Darj Karna

Phir aap se aap ke CNIC ke issue hone ki tareekh darj karne ko kaha jaye ga.

5. MPIN Set Karna

Is ke baad, aap ko apna 4-digit MPIN set karna ho ga. Yeh bohat ahm code hota hai. MPIN dobara darj kar ke confirm karen.

6. Account Activate Hona

MPIN confirm karne ke baad, aap ka JazzCash account activate ho jaye ga.

Note:

Aap ka CNIC bilkul valid ho aur yeh expired nahin hona chahiye.

JazzCash account banane ke liye aap ke paas registered mobile number hona zaroori hai.

Easypaisa Ka Account Kaise Banate Hain?