Facebook Par Page Kaise Banate Hain?
Facebook aaj duniya ka sab se bara social media platform hai.
Agar aap apne business, brand ya kisi community ko promote karna chahte hain to
is kaam ke liye Facebook Page banana sab se behtareen tarika hai.
Yeh aap ko apni audience se jurne aur naye logon tak pohanchne
mein madad karta hai. Is page par aap roman Urdu mein yeh parhein gay keh Facebook
page ko kaise banaya jata hai.
Facebook Par Page Banane Ke Liye Zaroori Steps
1. Facebook Mein Login Karen
Sab se pehle, apne computer ya mobile phone par Facebook open
karen aur apni personal profile mein login karen. Agar aap ka Facebook ka account
nahin hai to pehle account banayein.
Note: Agar aap ko Facebook par account banana nahin aata to
click karein: Facebook Par Account Banane Ka Tarika
2. Page Banane Ka Option
Login karne ke baad, ab aap ko Facebook par "Pages"
ka option talash karna ho ga.
Computer Par
Left side ke menu mein aap ko "Pages" ya
"Pages" icon nazar aye ga. Us par click karen. Ya phir oper right
corner mein "+" button par click karen aur phir "Page"
select karen.
Mobile App Par
Facebook app open karen. Oper right side par ya neeche right side
par "Menu" icon (teen horizontal lines) par tap karen. Ab neeche ko scroll
karen aur "Pages" par tap karen. Phir "Create" ya
"Create New Page" par tap karen.
3. Page Ki Maloomat Darj Karen
Ab aap ko apne page ke bare mein bunyadi maloomat deni ho gi:
Page Name (Page Ka Naam)
Apne page ka naam likhen. Yeh aap ke business, brand ya
community ka naam hona chahiye. Aap ke page ka naam bilkul saaf, mukhtasir aur
yaad rakhne wala ho.
Category
Apne page ke liye ek category select karen. Misaal ke tor par:
- Local Business
- Product/Service
- Artist
- Public Figure, etc.
Aap ek se zyada categories ko bhi add kar sakte hain. Yeh option
logon ko aap ke page ko aasani se talash karne mein madad karta hai.
Description (Tafseel)
Yahan par aap ko apne page ke bare mein batana ho ga. Yeh batayein
ke aap ka page kis cheez ke baare mein hai, aap kya offer karte hain aur log is
se kya tawaqo kar sakte hain.
Yeh tamam maloomat darj karne ke baad, "Create
Page" ya "Next" button par click karen.
4. Profile Picture Aur Cover Photo Add Karen
Profile Picture
Aap apni profile picture upload kar sakte hain. Yeh gol shape
mein dikhai de gi. Is liye aisa design select karen jo is shape mein achha
lage. Business ke liye logo behtar rehta hai.
Cover Photo
Ek aisi bari tasveer ya graphic upload karen jo aap ke brand
ya page ke maqsad ko zahir kare. Yeh aap ke page ke top par dikhai de gi.
In images ko add karne ke baad, "Save" ya
"Done" par click karen.
5. Mazeed Details Add Karen (Optional Magar Ahm)
Aap ka page ban gaya hai. Lekin is ko mukammal karne aur
zyada logon tak pounchne ke liye mazeed details add karna zaroori hai:
Contact Information
Agar aap ka business hai to phone number, email address aur
website add karen.
Location
Agar aap ka physical business hai to address, city aur
postcode add karen.
Business Hours
Apne business ke khulne aur band hone ke auqaat darj karen.
WhatsApp Se Rabta
Aap apne page ko WhatsApp se bhi connect kar sakte hain. Is
ka yeh faida ho ga keh log direct aap se WhatsApp par rabta kar saken gay.
Call To Action (CTA) Button
Apne cover photo ke neeche ek CTA button add karen.
Misaal ke tor par:
- Shop Now
- Contact Us
- Learn More
- Book Now etc.
Yeh logon ko aap ke page par koi khaas action lene ki taraf raaghib
kare ga.
6. Pehli Post Karen
Ab aap ka Facebook page ban chukka hai aur aap post kar sakte hain. Apni pehli post create karen.
0 Comments
Post a Comment