Snapchat Ki ID Banane Ka Aasan Tarika

Snapchat Ki ID Banane Ka Aasan Tarika

Aaj kal social media apps ka istemal bohat zyada barh chukka hai. Facebook, WhatsApp aur Instagram jesi apps logon ki zaroorat ban chuki hain. In hi apps mein se ek hai Snapchat.

Is page par hum aap ko step-by-step batayen ge keh aap Snapchat ki ID kaise bana sakte hain. Agar aap bhi Snapchat par apni ID banana chahte hain lekin is ka tarika nahin jante to yeh article aap ke liye hi hai.

Snapchat Kya Hai?

Snapchat ek mashhoor social media app hai jis par aap apni pictures aur chhoti videos waghera share kar sakte hain. Yeh pictures aur videos ek khaas waqt ke baad khud-ba-khud hi gayab ho jati hain.

Is mein mukhtalif filters, lenses aur Bitmojis jese mazedar features bhi shamil hote hain. Yeh aap ki photos aur videos ko aur dilchasp bana dete hain.

Snapchat Ki ID Banane Ke Liye Zaroori Cheezein

Smartphone

Aap ke paas ek Android ya iOS smartphone hona chahiye.

Internet Connection

Aap ke paas internet connection hona chahiye. Be-shak Wi-Fi ho ya mobile data.

Valid Email Address

Aap ke paas ek email address ho ya phir ek active mobile number ho.

Snapchat Ki ID Banane Ke Liye Zaroori Steps

1. Snapchat Ki App Ko Download Karna

Sab se pehla kaam hai Snapchat ki app ko download aur install karna. Is ke liye agar aap ke paas Android mobile hai to “Google Play Store” aur agar iPhone hai to “Apple App Store” par ja kar Snapchat app ko search karein aur download kar ke is ko apne phone mein install karein.

2. App Ko Open Karein Aur “Sign Up” Karein

App install hone ke baad usay open karein. Aap ko "Log In" aur "Sign Up" ke 2 options nazar ayen ge. Kyun keh aap naya account bana rahe hain is liye "Sign Up" par tap karein.

3. Permissions Ko Allow Karein

Ab Snapchat aap se kuch permissions mangay ga jaise keh “Contacts Access”, “Camera Access” aur “Microphone Access”. In permissions ko "Allow" kar dein.

4. Apna Naam Darj Karein

Ab aap ko apna “First Name” aur “Last Name” enter karna ho ga. Yeh woh naam hota hai jo dosre users ko nazar aata hai. Naam enter karne ke baad "Sign Up & Accept" par tap karein.

5. Apni Tareekh-e-Paidaish (Date of Birth) Likhein

Apni sehi tareekh-e-paidaish select karein.

Note: Snapchat par ID ya account banane ke liye bhi aap ki umer kam-az-kam 13 saal honi chahiye.

Tareekh-e-paidaish choose karne ke baad "Continue" par tap karein.

6. Apna Username Banayein

Snapchat aap ko automatically ek username suggest kare ga. Agar aap wohi username rakhna chahte hain to theek, warna aap "Change My Username" par tap kar ke apni pasand ka username bana sakte hain.

Aap ka username unique hona chahiye. Username ko ek dafa set karne ke baad aap is ko baad mein tabdeel nahin kar sakte. Username final karne ke baad "Continue" par tap karein.

7. Apna Password Set Karein

Ab apne account ke liye ek achha aur strong password banayein. Password mein letters, numbers aur symbols ka istemal zaroor karein. Password enter karne ke baad "Continue" par tap karein.

8. “Contact Detail” Add Karein

Yahan aap apna Email Address ya Mobile Number add kar sakte hain. Behtar hai ke dono add karein taa keh future mein account recover karna aasan ho. Snapchat aap ke diye hue mobile number ya email par verification code bheje ga. Woh code enter kar ke verify karein.

9. Friends Ko Add Karein (Yeh Lazmi Nahin Hai)

Account ban jane ke baad Snapchat aap ko apne phone contacts mein se un logon ko add karne ka option de ga jo Snapchat par mojood hain. Agar aap friends add karna chahte hain to "Add Friends" par tap karein aur agar nahin karna chahte to "Skip" kar sakte hain.

Aap Ka Snapchat Account Ban Gaya!

In sab steps ko mukammal karne ke baad aap ka Snapchat ka account ban jaye ga.

Kya Pakistan Mein PayPal Hai? | Account Banane Ka Tarika!